Friday 10 February 2017

विद्युत आवेश (Electric Charge)

VIDHYUT AAVESH(electric charge)


VIDHYUT AAVESH :- vidhyut aavesh pdarth(matter) ka vh gun he jis karan vh vidhyut and chumbakiy parbhav(effect) utpann(induce) karta he ya anubhav(feel) karta hai.

VIDHYUT AAVESH KE PARKAR(types of electric charge) :- 
vidhyut aavesh 2 parkar ka hota he-

(a) DHAN AAVESH(positive charge) ;- kisi vastu(thing) par dhan aavesh ,uski samany(normal) avastha(state) se electrone ki kami ko pardarsit karta he.

(b) NEGATIVE CHARGE :- kisi vastu par negative aavesh , uski samanya(normal) avastha se electrones ki adhikta ko pardarsit karta he.

VIDHYUT AAVESH KE GUN(properties of electric charge) :- 
(1) sjatiy(same) aaveso ke bich partikarsan bal(force) and vijatiy(opposite) aaveso ke madhya akarsan(attraction) force lagta hai.

(2) AAVESH KA QUANTIKARAN(quantization of charge) :- kisi aavesit vastu(thing) par aavesh ek nyuntam(minimum) aavesh (e) ke saral gunak(multipal) ke rup me hi ho sakta hai arthart vidhyut aavesh ko anishchit rup se vibhajit nhi kiya ja sakta hai.
ath kisi vastu par aavesh 
Q = ne
where , n = 1,2,3.....
 (3) AAVESHO KA SANRAKSAN(conservation of charges) :- aavesh nhi to nast(destroy) kiya ja sakta hai or nhi utpan kiya ja sakta hai iska keval ek vastu se dusri vastu par rupantrit(transfer) sambhav hai.
(4) kisi vastu par kul(total) aavesh use diye gye alag-alag(different) aaveso ke bijganitiy yog(algebraic sum) ke baraber hota hai.
(5) aavesh hmesa dravyaman(mass) se sambadh rhata hai arthart aavesh dravyaman rhit(without mass) nhi ho sakta hai jabki dravyman aavesh rhit ho sakta hai.

(6) sthir avastha mai aavesh kevel vidhyut shetra(electric filed) and eksaman gati ki avastha mai vidhyut shetra or chumbakiy shetra(megnetic filed) dono evam tvarit gati(motion) ki avastha mai vidhyut or chumbkiy shetra ke sath vidhyut chumbakiy vikiran(electro-megnetic waves) utpan hoti hai.

VIDHYUT AAVESH KE MATRAK(unites of electric charge) :- 
aavesh ka SI matrak "coulomb" hai.
and iske other small unites "milicoulomb(mC)" or "microcoulomb" hai.

THANKS GUYS
BY :- yours ARJUN THORY
Share This
Previous Post
First

Become Physics , Chemistry , Maths , Engineering , Science And Technology Expert With "ARJUN CLASSES" And "ARJUN THORI" Educational Group. ARJUN CLASSES Group आपको Science And Technology को आसानी से अपनी भाषा ( HINDI ) में समझनें के लिए निम्न Services Provide करता है ---- 1. Video Lectures ( Free ) , 2. Hand Written Notes And Study Material ( Free And Paid ) , 3. Online Notes ( Free ) , 4. About Govt. Jobs ( Free ). Join Us For Above Services -- FREE

2 comments:

  1. Please like,share & comment on this post

    ReplyDelete
  2. If you want this post in english, please tell me by comment

    ReplyDelete

|| हमारी Post कैसी लगी , Comment द्वारा जरुर बताएं ||