Saturday, 11 February 2017

विद्युत बल रेखाएं (Electric Lines Of Force)

VEDHEYUT BAL REKHAYE(electric lines of force)



VIDHYUT BAL REKHAYE(electric lines of force) :- vedhyut bal rekhaye vidhyut shetra me khinchi gyi kalpanic rekhaye hai . vidhut bal rekhao dvara vidhyut shetra ki tivarta ko darsaya jata hai.
  • arthart , jha vidhyut bal rekhaye jyada(pas-pas) hoti hai vha vidhyut shetra ki tivarta jyada hoti hai.
  • or jha vidhyut bal rekhaye kam hoti hai vha vidhyut shetra ki tivarta kam hoti hai.

VIDHYUT BAL REKHAO KE GUN(properties of electric lines of force) :- vidhyut bal rekhao ke nimnlikhit(following) gun  hai -
(1) vidhyut bal rekhaye dhan(positive) aavesh se pararambh hoti hai or negative aavesh par samapt(end) hoti hai.

 (2) vidhyut bal rekha ke kisi bindu par khinchi gyi spars reka(tangent), us bindu par parinami(resultant) vidhyut shetra ki disha(direction) pardarsit(indicate) karti hai.

(3) vidhyut bal rekhaye dhan aaves(positive charge) se nikal kar  negative charge par khatam (samapt) ho jati hai. ye rekhaye band paas (closed loop) nhi bnati hai.

(4) do vidhyut bal rekhaye ek dusre ko kabhi nhi katati hai, kyunki ydi vo ek dusre ko katati hai  , to unke katan bindu par do spars rekhaye(two tangents)  khinchi ja sakti hai .jo us bindu par vidhyut shetra ki do dishao ko pardarsit karegi . lekin ham jante hai ki vidhyut shetra ek vector quantity hai jiski keval ek disa hi sambhav hai. is liye vidhyut bal rekhaye kabhi cut nhi karti hai .
arthart , ham kh sakte hai ki vidhyut bal rekhaye aapas mai bina cut kiye  chalti hai .

(5) kisi chalak(conductor) ke andar koi vidhyut bal rekhaye nhi hoti hai. or vidhyut bal rekhaye chalak ki sath lambvat (perpendicular to surface of conductor) hoti hai.
REQUEST FROM YOU ::-
(1) IF YOU LIKE THIS POST , PLEASE share & comment
(2) IF YOU WANT THIS POST IN English PLEASE tell me by comment
THANKS
BY :- yours ARJUN THORY {SARLI , BARMER}
Share This
Previous Post
Next Post

Become Physics , Chemistry , Maths , Engineering , Science And Technology Expert With "ARJUN CLASSES" And "ARJUN THORI" Educational Group. ARJUN CLASSES Group आपको Science And Technology को आसानी से अपनी भाषा ( HINDI ) में समझनें के लिए निम्न Services Provide करता है ---- 1. Video Lectures ( Free ) , 2. Hand Written Notes And Study Material ( Free And Paid ) , 3. Online Notes ( Free ) , 4. About Govt. Jobs ( Free ). Join Us For Above Services -- FREE

2 comments:

|| हमारी Post कैसी लगी , Comment द्वारा जरुर बताएं ||